Total Views

Monday, December 14, 2015

Mujhe Dushman k Bachon ko Parhana hai


Mujhe Dushman k Bachon ko Parhana hai.
Wo jo saari he nazron se gira tha.Na tha insaan na jiska khuda tha.Mujhe maa uss se badla lenay jana hai.Mujhe dushman k bachon ko parhana hai. <3
Posted by Finding Neverland Blog on Monday, December 14, 2015

Lyrics of Song: Mujhe Dushman k Bachon ko Parhana hai
Qalam ki jo jagha thi woh wahin hai
Par uska naam tak baaaki nahi hai.
Qalam k nouk par nukta hai koi.
Jo sach ho wo bhala rukha hai koi.

Wo jis bachpan ne thora aur jeena tha.
Wo jis ne maa tumhara khwab cheena tha.
Mujhe maa uss se badla lenay jana hai.
Mujhe dushman k bachon ko parhana hai.
Mujhe maa uss se badla lenay jana hai.
Mujhe dushman k bachon ko parhana hai.

Wo jis ko soch k sotti nahi maa.
Kitabain dekh k roti rahi maa.
Hain kis ki wapsi ki raah takte
Ye darwaza khulaa babaa kyun rakhte.
kitabe dekh ke roti rahi maa
Mujhe maa uss se badla lenay jana hai.
Mujhe dushman k bachon ko parhana hai.

Jo dar k samnay hansta gaya hai. 
Jo apna chor k basta gaya hai.
Thi eik kaisi kahani likh gaya wo.
Kitabon main nishani rakh gaya wo.
Jo maatha choomnay wala lahu tha.
Wo jis ne khwab ka b khoon kiya tha.
Mujhe maa uss se badla lenay jana hai.
Mujhe dushman k bachon ko parhana hai.
Mujhe maa uss se badla lenay jana hai.
Mujhe dushman k bachon ko parhana hai.


No comments:

Post a Comment

Translate

Search This Blog