Total Views

Tuesday, May 22, 2012

Sab kuch khuda ka hai, Phir kya larai phir kya tamasha hai?!



This is why I love Jawad Ahmad, just read the lyrics <3 

Tera na mera hai sab kuch khuda ka hai
phir kya larai hai phir kya tamasha hai.

Gora ya kaala, buraa ho ya acha
boorha ya bacha ho jhoota ya sacha
ham sab baray jitnay chahay ho jayn
dunya ki nazro main ham cha bhi jayn
hmaray naseebo par uska hai qabza

phir kya larai hai phir kya tamasha hai.
tera na mera hai sab kuch khuda ka hai.

Gaari aur bangla ye banko main paisa
meray dil main phir bhi hai ye dard kasa
mujh ko tow itna patta bhi nahi hai
meri zindagi ka hai agla pal kasa.

phir kya larai hai phir kya tamasha hai.
tera na mera hai sab kuch khuda ka hai.

Dojay se apnay se dhookay khuda se
muhabbat k naamo pay soday wafa k
labo pai hai jo kuch dillo main nahi hai
ye jhootay dilasay fareeb is zubaan k

phir kya larai hai phir kya tamasha hai.
tera na mera hai sab kuch khuda ka hai.


Khuda ki hai dolat khuda ki zameen hai,
kuch ko nahi usne sab ko ye di hai.
bashar jo bhi dunya main paida hua hai
ye uski hai dolat ye uski zameen hai.

galat hai ye taqseem khuda ki nahi hai
ye insaan ki apni bnai hui hai 
sab kuch jab uska hai toe phir ye sabka hai
kuch kuch ne iss sab par qabza kia hai.


Jaago meray doosto apnay haq k liy tum utho,
batil ko batil kaho, jab tak k haq sach na ho,
kisi k agay na jhooko, kisi se tum na daro,
hain insaan barabar sabhi hai sabka hai sab kuch kaho.

3 comments:

Translate

Search This Blog